Friday, June 01, 2012

Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein...



Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein
Jahan lafz band ho jaye jehan mein
Dhadkano ki awazein sunayein geet
Ek ajeeb see khushi kaheen mann mein
Gud-gudi see kisi ke aane ki aahat sunn
Kare hulchul mann mera chanchal beimaan
Natkhat kare ishaare Aankhon se meri jaan
Ghulkar bhi jo bani rahe pyaas
Aisa hai ye badmsat pyaar!

~ fiza

Monday, May 21, 2012

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan


Kyun hota hai pyaar ye sochkar thi pareshaan
Ehasaas hua hai ye Uss se durr rehakar 

Pyaar na chahe beshaq zindagi ko baar baar
Zindagi chaahati hai ho pyaar beshumaar

Virah ki ghadi kis kadar gumraah kar deti hai
Beemar ka haal accha hai jo pad gayee Ek nazar

Rukha sa be-jaan jism chalta-phirta hai idhar-udhar
Jeene ke rang bhar deta hai ek mulaqat mukhtasar

Jo ab tak the musrufiyat ke jaal mein chipe huye
Hulchal sii macha rahe zehan mein Harpal har mod per

Yun hota hai pyaar ye jaana, aaj mehasoos kiya meine
Dil betaab aur behaal hua jaata hai oske khyaal per

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan
'fiza' bebaak see rehagayee armaanon ke bahaav per

~ fiza